munh pher kar wo kahte hain bas man jaiye
is sharm is lihaz ke qurban jaiye
bhule nahin hain hum wo mudaraat raat ki
ji chahta hai phir kahin mehman jaiye
bole wo muskura ke bahut iltija ke baad
ji to ye chahta hai teri man jaiye
aage hai ghar raqib ka bas sath ho chuka
ab aap ka KHuda hai nigahban jaiye
ulfat jata ke dost ko dushman bana liya
'beKHud' tumhaari aql ke qurban jaiye
Ghazal
Munh pher kar wo kahte hain bas man jaiye
Bekhud Dehlvi