munh mera ek ek takta tha
us ki mahfil mein main tamasha tha
hum jo tujh se phiren KHuda se phiren
yaad hai kuchh ye qaul kis ka tha
wasl mein bhi raha firaq ka gham
sham hi se sahar ka khaTka tha
apni aankhon ka kuchh qusur nahin
husn hi dil-fareb is ka tha
fatiha paDh rahe the wo jab tak
meri turbat par ek mela tha
nama-bar nama jab diya tu ne
kuchh zabani bhi us ne puchha tha
ab kuchh is ka bhi eatibar nahin
pahle dil par baDa bharosa tha
wo jo ruk ruk ke puchhte the haal
dil mein rah rah ke dard uThta tha
juTha wada bhi ai 'hafiz' un ka
zindagi ka meri sahaara tha
Ghazal
Munh mera ek ek takta tha
Hafeez Jaunpuri