اردو हिंदी
Munh apna KHushk hai aur chashm tar hai | Shaahi Shayari
munh apna KHushk hai aur chashm tar hai

Ghazal

Munh apna KHushk hai aur chashm tar hai

Meer Hasan

;

munh apna KHushk hai aur chashm tar hai
tere gham mein ye sair-e-bahr-o-bar hai

KHabar le dil ki us se jis ka ghar hai
kisi ke ghar ki hum ko kya KHabar hai

wo ab kyunkar na khinche aap ko dur
hamare chahne ka ye asar hai

hamein kuchh wo nahin hain aah warna
wahi hai sham aur wo hi sahar hai

hamein dekho na dekho tum hamein to
tumhaara dekhna madd-e-nazar hai

suna le marte marte gul ko bulbul
koi nala tere dil mein agar hai

uThata hai jo roz uTh dard-o-gham ko
kise taqat hai mera hi jigar hai

kabhi basta tha ek aalam yahan bhi
ye dil jo ab ki ujDa sa nagar hai

kaha chahe hai kuchh kahta hai kuchh aur
'hasan' dhyan in dinon tera kidhar hai