اردو हिंदी
Munfarid to hai tera koi muqabil na hua | Shaahi Shayari
munfarid to hai tera koi muqabil na hua

Ghazal

Munfarid to hai tera koi muqabil na hua

Maahir Balgiraami

;

munfarid to hai tera koi muqabil na hua
koi maKHluq bhi kaunain mein kaamil na hua

ek tamasha wo bhi didar ke qabil na hua
raqs-e-bismil jo sar-e-kucha-e-qatil na hua

dil jo qurbani-e-parwana ka hamil na hua
darKHur-e-anjuman-e-shama-shamail na hua

kaun hai teri inayat ka jo qail na hua
kis ke dukh-sukh mein to waqt aane pe shamil na hua

jaan-ba-haq ho gaya taslim alag baat hai ye
rah-raw-e-ishq yun aasuda-e-manzil na hua

aankh kya aankh nahin tab-e-nazara jis ko
dil wo kya dard-e-mohabbat ka jo hamil na hua

roz-e-awwal se hain sargarm-e-talash-e-mahbub
hum sa koi magar aawara-e-manzil na hua

KHud-kushi shiddat-e-iza-e-wafa mein tauba
buzdili kahiye ise ye hal-e-mushkil na hua

aisa lagta hai asiran-e-qafas chhuT gae
aaj har din ki tarah shor-e-salasil na hua

juz dil-e-ahl-e-suKHan lahn mein Dhal kar ilham
dahr mein har kas-o-na-kas pe to nazil na hua

karwaTen lin to bahut husn ki ranai ne
ishq ka rang pa 'mahir' kabhi zail na hua