muKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare
in nazaron ko koi dekhe ki hairani kare
dhup mein in aabginon ko liye phirta hun main
koi saya mere KHwabon ki nigahbani kare
ek main hun aur dastak kitne darwazon pe dun
kitni dahlizon pe sajda ek peshani kare
raat aisi chahiye mange jo din bhar ka hisab
KHwab aisa ho jo in aankhon mein virani kare
sahilon par main khaDa hun tishna-kaamon ki tarah
koi mauj-e-ab meri aankh ko pani kare
Ghazal
MuKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare
Mahtab Haider Naqvi