muKHalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai
udhar kuchh aur kahti hai idhar kuchh aur kahti hai
na tu dushman ke ghar soya na tu dushman ke ghar jaga
ye sab sach hai teri surat magar kuchh aur kahti hai
udhar madd-e-nazar un ko chhupana raaz ulfat ka
idhar kambaKHt meri chashm-e-tar kuchh aur kahti hai
tasawwur dil mein shayad aa gaya hai ghar ke jaane ka
ye angDai teri waqt-e-sahar kuchh aur kahti hai
nahin malum 'muztar' mar gaya ya sans baqi hai
ilahi KHair shakl-e-chaaragar kuchh aur kahti hai

Ghazal
MuKhaalif hai saba-e-nama-bar kuchh aur kahti hai
Muztar Khairabadi