اردو हिंदी
Mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat | Shaahi Shayari
mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat

Ghazal

Mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat

Laiq Aajiz

;

mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat
meri hayat hai ek tishna KHwab ki surat

hawao dil ki taraf ehtiyat se jaana
wajud amn ka hai qaem hubab ki surat

malamaten gham-o-alam fikr mayusi
ye zindagi hai shikasta kitab ki surat

KHud apni kargasi fitrat se ho gae ruswa
wagarna tum bhi uThe the uqab ki surat

kabhi falak to samundar kabhi uTha laya
pasand donon ko hai aaftab ki surat

shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai
hamara chehra tha 'ajiz' gulab ki surat