mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni
mohabbat ki kahani mein adakari nahin karni
hawa ke KHauf se lipTa hua hun KHushk Tahni se
kahin jaana nahin jaane ki tayyari nahin karni
tahammul ai mohabbat hijr pathrila ilaqa hai
tujhe is raste par tez-raftari nahin karni
hamara dil zara ukta gaya tha ghar mein rah rah kar
yunhi bazar aae hain KHaridari nahin karni
ghazal ko kam-nigahon ki pahunch se dur rakhta hun
mujhe banjar dimaghon mein shajar-kari nahin karni
wasiyyat ki thi mujh ko qais ne sahra ke bare mein
ye mera ghar hai is ki chaar-diwari nahin karni
Ghazal
Mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni
Afzal Khan