mujhe malum hai main sari duniya ki amanat hun
magar wo lamha jab main sirf apna ho sa jata hun
main tum se dur rahta hun to mere sath rahti ho
tumhaare pas aata hun to tanha ho sa jata hun
main chahe sach hi bolun har tarah se apne bare mein
magar tum muskuraati ho to jhuTa ho sa jata hun
tere gul-rang honTon se dahakti zindagi pi kar
main pyasa aur pyasa aur pyasa ho sa jata hun
tujhe banhon mein bhar lene ki KHwahish yun ubharti hai
ki main apni nazar mein aap ruswa ho sa jata hun
Ghazal
Mujhe malum hai main sari duniya ki amanat hun
Jaan Nisar Akhtar