اردو हिंदी
Mujhe kal achanak KHayal aa gaya aasman kho na jae | Shaahi Shayari
mujhe kal achanak KHayal aa gaya aasman kho na jae

Ghazal

Mujhe kal achanak KHayal aa gaya aasman kho na jae

Azm Bahzad

;

mujhe kal achanak KHayal aa gaya aasman kho na jae
samundar ko sar karte karte kahin baadban kho na jae

koi na-muradi ki yalghaar sine ko chhalni na kar de
kahin dasht-e-anfas mein sabr ka karwan kho na jae

ye hansta hua shor sanjidgi ke liye imtihan hai
so mohtat rahna ki tahzib-e-ah-o-fughan kho na jae

ise waqt ka jabr kahiye ki bechaargi jism o jaan ki
makan khone walon ko Dar hai ki ab la-makan kho na jae

main apne iradon ki gaThri uThae kahin ja na paya
hamesha ye dhaDka raha mahfil-e-dostan kho na jae

ye qisson ki rim-jhim mein bhiga hua halqa-e-guftugu hai
yahan chup hi rahna ki tasir-e-lafz-o-bayan kho na jae

yahan kis ko fursat ki aaghaz o anjam ko yaad rakkhe
sabhi ko ye tashwish hai waqt ka darmiyan kho na jae

ye bazar-e-nafa-o-zarar hai yahan be-tawazun na hona
sameTo agar sud to dhyan rakhna ziyan kho na jae

uTho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko
agar ruk na pae to koshish ye karna dhuan kho na jae