mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se
na tere aane se matlab na tere jaane se
ajib hai meri fitrat ki aaj hi maslan
mujhe sukun mila hai tere na aane se
ek ijtihad ka pahlu zarur hai tujh mein
KHushi hui tere na-waqt muskurane se
ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai
tumhaari champai ranon ko noch khane se
mohazzab aadmi patlun ke baTan to laga
ki irtiqa hai ibarat baTan lagane se
Ghazal
Mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se
Jaun Eliya