اردو हिंदी
Mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha | Shaahi Shayari
mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha

Ghazal

Mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha

Aitbar Sajid

;

mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha
mere mausamon ke mizaj-dan tujhe mera kitna KHayal tha

kisi aur chehre ko dekh kar teri shakl zehn mein aa gai
tera nam le ke mila use mere hafize ka ye haal tha

kabhi mausamon ke sarab mein kabhi baam-o-dar ke azab mein
wahan umr hum ne guzar di jahan sans lena muhaal tha

kabhi tu ne ghaur nahin kiya ki ye log kaise ujaD gae
koi 'mir' jaisa girafta-dil tere samne ki misal tha

tere baad koi nahin mila jo ye haal dekh ke puchhta
mujhe kis ki aag jala gai mere dil ko kis ka malal tha

kahin KHun-e-dil se likha to tha tere sal-e-hijr ka saneha
wo adhuri Diary kho gai wo na-jaane kaun sa sal tha