اردو हिंदी
Mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha | Shaahi Shayari
mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha

Ghazal

Mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha

Abbas Tabish

;

mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha
tera aur mere liye diwar pahle to na tha

husn ne saunpi hai ye kaisi nigun-sari mujhe
main kisi ka aaina-bardar pahle to na tha

is tarah to pa-ba-jaulan hum na phirte the kabhi
in gali-kuchon mein ye bazar pahle to na tha

ab kahan se aai us kafir ke dil mein raushni
aaina halqa-ba-gosh-e-yar pahle to na tha

'tabish' ek daryuza-gar ko baz rakhne ke liye
koi darwaza pas-e-diwar pahle to na tha