اردو हिंदी
Mujhse aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log | Shaahi Shayari
mujhse aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log

Ghazal

Mujhse aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log

Ghamgeen Dehlvi

;

mujh se aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log
aur hi rangat se kuchh kuchh aa ke farmate hain log

jab se jaana band mera ho gaya ai hamdamo
tab se un ke ghar mein har har tarah ke aate hain log

mere aah-e-sard ki tasir us ke dil mein dekh
hae kis kis tarah mujh par us ko garmate hain log

jab wo ghabraate the mujh se tab the un ke ghar ke KHush
ab jo wo KHush hain to un ke ghar ke ghabraate hain log

koi samjhao unhen bahr-e-KHuda ai momino
us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhate hain log

roz-e-hijran to dikhaya sau farebon se mujhe
dekhiye ab aur kya kya hae dikhlate hain log

jo lagate the bujhate the hamesha un se aah
wo hi ab na-chaar 'ghamgin' mujh se sharmate hain log