mujh mein us mein hijab tha na raha
pahle jo iztirab tha na raha
kufr hi din ban gaya mera
kufr mein jo hijab tha na raha
lazzat-e-subh-o-sham bhul gae
dil jo bhun kar kabab tha na raha
be-hayai ki oDh li chadar
pahle wo aab aab tha na raha
is ne ab sath mera chhoD diya
ishq mein kaamyab tha na raha
roz-o-shab chain se guzarte hain
waqt mein pech-o-tab tha na raha
ho gae us ke dar ke pahre-dar
mera jina azab tha na raha
sham hote hi bujh gaya 'ajiz'
ek muflis ka KHwab tha na raha

Ghazal
Mujh mein usMein hijab tha na raha
Laiq Aajiz