mujh ko to gir ke marna hai
baqi ko kya karna hai
shahr hai chehron ki tamsil
sab ka rang utarna hai
waqt hai wo naTak jis mein
sab ko Dara kar Darna hai
mere naqsh-e-sani ko
mujh mein hi se ubharna hai
kaisi talafi kya tadbir
karna hai aur bharna hai
jo nahin guzra hai ab tak
wo lamha to guzarna hai
apne guman ka rang tha main
ab ye rang bikharna hai
hum do pae hain so hamein
mez pe ja kar charna hai
chahe hum kuchh bhi kar len
hum aison ko sudharna hai
hum tum hain ek lamhe ke
phir bhi wada karna hai
Ghazal
Mujhko to gir ke marna hai
Jaun Eliya