mujh ko ta-umr taDapne ki saza hi dena
tujh ko manzur agar ho to bhula hi dena
ai gham-e-hijr wo tohmat jo lagae mujh par
meri be-laus mohabbat ki gawahi dena
ye alag baat ki ho jaun mohabbat mein tabah
tu na mujh ko kabhi ehsas-e-tabahi dena
wo jo majbur karen sharh-e-gham-e-furqat ko
ashk-amez nigahon se suna hi dena
un ke daman ko mah-o-mehr se karna mamur
mere hisse mein jahan bhar ki syahi dena
wo jawan ke kahin fitna-e-dauran na bane
husn ko fitrat-e-mashuq-nigahi dena
aaj bhi yaad hai ai dost inayat teri
wo tera itna hansana ki rula hi dena
mere har sher mein rudad-e-sitam hai un ki
ai 'zafar' meri ghazal un ko suna hi dena

Ghazal
Mujhko ta-umr taDapne ki saza hi dena
Zafar Ansari Zafar