اردو हिंदी
Mujhko pyas bujhani hai | Shaahi Shayari
mujhko pyas bujhani hai

Ghazal

Mujhko pyas bujhani hai

Poonam Yadav

;

mujh ko pyas bujhani hai
is mein kya hairani hai

us ki baaton par mat ja
us ko aag lagani hai

apne-pan ki baat na kar
mere liye be-mani hai

aahaT se uD jati hai
titli KHub siyani hai

jalne wala jaane kyun
ab tak pani pani hai