mujh ko kahan ye hosh teri jalwa-gah mein
jalwe mein hai nigah ki jalwa nigah mein
wo kya nigah jo na kisi dil mein ghar kare
wo dil hi kya na ho jo kisi ki nigah mein
mujh ko zamane-bhar ke ghamon se najat hai
jab se hai mera dil tere gham ki panah mein
pahle gunahgar tamasha hui nigah
lazzat-sharik phir hua dil is gunah mein
nisbat hi kya sawab ko mere gunah se
sau sau sawab hain mere ek ek gunah mein
tere jamal-e-naz ka husn-e-kamal hai
KHud jalwa ban gaya hun teri jalwa-gah mein
aabaad hai jahan-e-wafa un ki yaad se
barbaad ho gae jo mohabbat ki rah mein
uThti nahin nigah kisi samt ai 'sahab'
kis husn-e-be-badal ke hain jalwe nigah mein

Ghazal
Mujhko kahan ye hosh teri jalwa-gah mein
Shiv Dayal Sahab