mujh ko diwana samajhte hain wo shaidai bhi
main tamasha bhi hun mahfil mein tamashai bhi
baDh gai hum se naqahat mein hamari taswir
is mein baqi na rahi quwwat-e-goyai bhi
Dhal na jae kahin shane se hawa mein aanchal
ab wo sharmate hain lete hue angDai bhi
miT gaya dagh-e-dil-zar bhi rafta rafta
bujh gaya aaj charagh-e-shab-e-tanhai bhi
jis qadar pas thi punji use hum kho baiThe
ishq mein 'nuh' gai daulat-e-abai bhi
Ghazal
Mujhko diwana samajhte hain wo shaidai bhi
Nooh Narvi