mujassam dagh-e-hasrat hun sarapa naqsh-e-ibrat ka
mujhe dekho ki hota hai yahi anjam ulfat ka
unhen shauq-e-dil-azari hamein zauq-e-wafadari
KHuda-hafiz hai ab apne kishor-e-kar-e-ulfat ka
visal-e-yar ki ai dil koi pur-zor koshish kar
hawa-e-ah se parda uTha de sham-e-furqat ka
dil-e-pur-shauq ne Dala hai mujh ko kis kashakash mein
idhar hai had ki be-sabri udhar wada qayamat ka
tum aise be-KHabar bhi shaz honge is zamane mein
ki dil mein rah ke andaza nahin hai dil ki haalat ka
jahan mein chaar din rah kar faqat bu-e-wafa dena
gulon se main sabaq leta hun aain-e-sohbat ka
laga rakhta hai us ki nazr ko chashm-e-tamanna ne
wo ek aansu ki majmua hai sari dil ki taqat ka
meri qudrat se ab iKHfa-e-raaz-e-ishq bahar hai
ki rang aane laga hai aansuon mein KHun-e-hasrat ka
ek aah-e-sard bhar leta hun jab tum yaad aate ho
KHulasa kis qadar main ne kiya hai ranj-e-furqat ka
wo dil hai bazm-e-alam mein 'nazar' ek saz-e-bashkasta
na chheDe tar-e-hasti par jo naghma us ki qudrat ka
Ghazal
Mujassam dagh-e-hasrat hun sarapa naqsh-e-ibrat ka
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi