اردو हिंदी
Muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad | Shaahi Shayari
muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad

Ghazal

Muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad

Anwari Jahan Begum Hijab

;

muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad
KHuda ki har chiz kah rahi hai ki ab hai nur-e-KHuda ki aamad

falak ko hai aarzu ki jhuk kar main apne tare karun nichhawar
hui hai makka ki sar-zamin pe ye aaj kis mah-laqa ki aamad

har ek muhib par ye fazl-e-rab hai asar ko nalon ki KHud talab hai
magar us altaf ka sabab hai habib-e-rabb-ul-alal ki aamad

'hijab' paiham ye kah raha hai gunahgaron ne josh-e-rahmat
mubarak ai aasiyo mubarak shafi-e-roz-e-jaza ki aamad