اردو हिंदी
Muddaton se jo moattar tha wo daftar kaT kar | Shaahi Shayari
muddaton se jo moattar tha wo daftar kaT kar

Ghazal

Muddaton se jo moattar tha wo daftar kaT kar

Mahir Abdul Hayee

;

muddaton se jo moattar tha wo daftar kaT kar
zard mausam likh diya satar-e-gul-e-tar kaT kar

dida-e-bina ki KHatir tha jo saman-e-nashat
reza reza kar diya kis ne wo manzar kaT kar

koi khiDki hi nazar aai na darwaza mila
thak gae hain panw diwaron ke chakkar kaT kar

daman-e-shab mein hain kitne phul kya us ko KHabar
so gaya koh-e-mashaqqat ko jo din-bhar kaT kar

kho gaya hai aadmi be-chehragi ke dasht mein
le uDa hai waqt aainon ke jauhar kaT kar

yun kiya aazad zanjir-e-talluq se mujhe
chhoD de jaise koi tote ke shah-par kaT kar

chahte hain sab ko be-mehnat mile shirin hamein
kaun ab laega ju-e-shirin patthar kaT kar

tab kahin paya kisi ne us ki manzil ka pata
jab masafat qata ki KHud ko sarasar kaT kar

tirgi mein tha jo 'mahir' sham-e-raushan ki misal
KHak par phenka hai kis zalim ne wo sar kaT kar