muddat se koi shor bapa ho nahin raha
aur hath hai ki dil se juda ho nahin raha
ek subh thi jo sham mein tabdil ho gai
ek rang hai jo rang-e-hina ho nahin raha
hum bhi wahi diya bhi wahi raat bhi wahi
kya baat hai jo raqs-e-hawa ho nahin raha
hum bhi kisi KHayal ke sannahaTon mein gum
tum se bhi pas-e-ahd-e-wafa ho nahin raha
kya chahti hai hum se hamari ye zindagi
kya qarz hai jo hum se ada ho nahin raha
Ghazal
Muddat se koi shor bapa ho nahin raha
Kashif Husain Ghair