muddat hui KHamoshi-e-izhaar-e-haal ko
aab-e-sada hi dijiye dasht-e-KHayal ko
phir ek shaKH-e-zard giri KHak ho gai
phir barg-e-nau mile shajar-e-mah-o-mal ko
jhonka ye kis ke lams-e-gurezan ki tarah tha
ab hal hi karte rahiye hawa ke sawal ko
ham-rang-e-mahtab tha wo is mein kho gaya
ab kitni dur phenkiye nazron ke jal ko
shab bhar hawa ke rang badalte rahe nae
main dekhta raha safar-e-bar-shaghaal ko
jaega KHun-e-shab na kisi taur raegan
munh par malegi subh shafaq ke gulal ko
jachte nahin nigah mein KHushiyon ke aaftab
dil DhunDhta hai kis gham-e-zohra-e-jamal ko
insaniyat ke dard ki aawaz ban sake
soz-e-nawa se sinchiye zaKHm-e-KHayal ko
dije phir aab-e-dida-e-tar se hayat-e-nau
fann-o-adab ke sabza-e-nau-paemal ko

Ghazal
Muddat hui KHamoshi-e-izhaar-e-haal ko
Rafiq Khawar Jaskani