monis-e-dil koi naghma koi tahrir nahin
harf mein ras nahin aawaz mein tasir nahin
aa hi jata hai ujaDti hui duniya ka KHayal
bawar aaya ki tera dard hama-gir nahin
hijr ek waqfa-e-bedar hai do nindon mein
wasl ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin
mere atraf ye zanjir-r-alaeq kaisi
zindagi jurm sahi qabil-e-tazir nahin
kis tarah paen is afsurda-mizaji se najat
hamdamo ham-suKHano kya koi tadbir nahin

Ghazal
Monis-e-dil koi naghma koi tahrir nahin
Ahmad Mushtaq