mom sifat logon ne mera hans ke tamasha dekha to
wo patthar tha lekin us ki aankh se aansu Tapka to
alfazon ne mani badle tahriron ne ruKH badla
mere qalam ki nok se jis dam KHun ka chashma phuTa to
kahne lage sab aaj sawa neze par suraj aayega
jis din main ne mom ka kurta apne badan par pahna to
qimat dekhte dekhte pahunchi kauDi se phir lakhon mein
kanch ka ek showcase bana kar KHud ko us mein rakkha to
unchi unchi baaten dena meri bhi kal fitrat thi
hosh Thikane aa gae mere apne andar jhanka to
mujh ko pinjre se to nikala par sayyaad ne dhamki di
bazu jhaD jaenge tere tu ne uDna chaha to
Ghazal
Mom sifat logon ne mera hans ke tamasha dekha to
Nawaz Asimi