mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin
ai dil-e-be-talab! bata kya koi muddaa nahin
ahl-e-junun ko ab ke bhi izn-e-junun mila nahin
ab ke baras bhi bagh mein phul koi khila nahin
apna qusur hai to ye, aur koi KHata nahin
hum ne faqih-e-shahr ko mana kabhi KHuda nahin
ye to hua ki raushni aur bhi kuchh bhaDak uThi
tez hawa ke bawajud dil ka diya bujha nahin
rah-e-talab mein aaj tak ahl-e-talab ka qafila
yun hi rawan-dawan raha aur kabhi thaka nahin
kis se talab karen bhala KHun ka apne KHun-baha
apne alawa aur koi apna harif tha nahin
dil ka ajib rang hai aur wo shaKHs sang hai
ta-ba-nigah dur tak jis ka koi pata nahin
Ghazal
Mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin
Nikhat Barelvi