mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
hai zist faqat dhoka aur maut haqiqat hai
hum par ye inayat bhi, kya teri mohabbat hai
aana bhi qayamat hai jaana bhi qayamat hai
khulta hi nahin us ki in KHas adaon mein
tamhid-e-mohabbat hai, zid hai ki shararat hai
tauhin-e-wafa hai ye, hangama hai kyun itna
is dasht-e-wafa mein kya pahli ye shahadat hai
badla hai zamana bas, haalat nahin badle
haq-goi mein logon ko ab bhi to qabahat hai
ek zid ke sabab donon mashkuk hain ab tak bhi
inkar hai honTon par aaankhon mein mohabbat hai
ye marka-arai kya ek taraf se thi
kuchh apne kiye par bhi kya tum ko nadamat hai
kuchh tu hi bata aaKHir kyun-kar tere bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai
mana, ho tamashai tum zulm-e-musalsal ke
lekin ye KHamoshi bhi zalim ki himayat hai
tu apni KHataon par nadim bhi zara ho ja
ai dost agar tujh mein thoDi bhi sharafat hai
kuchh dahr-paraston ne saffak-dili barti
kuchh had se ziyaada hi hum mein bhi sharafat hai
kya shauq-e-junun tha jo aae the yahan 'KHalid'
is dasht-e-wafa mein to har lamha aziyyat hai

Ghazal
Mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
Quaiser Khalid