mohabbaten thin kuchh aisi visal ho ke raha
wo KHush-KHayal mera ham-KHayal ho ke raha
har ek parde mein daryaft us ka husn kiya
phir us KHazane se main mala-mal ho ke raha
lahu ki lahr mein shadabiyon ki shiddat se
mizaj us ka mere hasb-e-haal ho ke raha
karam ka silsila jo munqata tha ghaflat se
bahaal kaise na hota bahaal ho ke raha
hum itna chahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur wo meri misal ho ke raha
Ghazal
Mohabbaten thin kuchh aisi visal ho ke raha
Sabir Zafar