mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne 
zamane ab to KHush ho zahr ye bhi pi liya main ne 
love I have renounced and sewn the collar that was ripped 
O world now you be happy for this poison I have sipped 
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun KHalwat mein 
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne 
though I am alive, I often think, when there is no throng 
based on what desire, tell me, have I lived this long 
unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai 
ki kuchh muddat hasin KHwabon mein kho kar ji liya main ne 
though I cannot possess her, it's of major consequence 
that for a while, her in my dreams, I did experience 
bas ab to daman-e-dil chhoD do bekar ummido 
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne 
the vestment of my heart O helpless hopes now leave alone 
I've lived far too long and sorrows ample have I borne
        Ghazal
Mohabbat tark ki maine gareban si liya maine
Sahir Ludhianvi

