اردو हिंदी
Mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai | Shaahi Shayari
mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai

Ghazal

Mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai

Birj Lal Raana

;

mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai
shikast-e-saz ki aawaz bhi hai

hai niyyat hi mein dozaKH aur jannat
yahi dam-soz bhi dam-saz bhi hai

na toDen mera saz-e-dil na toDen
ki is mein aap ki aawaz bhi hai

mohabbat yun to hai ek lafz-e-sada
jo samjho to fasana-saz bhi hai

qafas parwaz-e-dushman to hai lekin
qafas ek dawat-e-parwaz bhi hai

yahi gul hai jo taswir-e-KHamoshi
shikast-e-ghuncha ki aawaz bhi hai

nahin zanjir-e-pa hi ye tasawwur
jo bandh jae par-e-parwaz bhi hai

main tera raaz kholun bhi to kyun kar
ki tera raaz mera raaz bhi hai

ye duniya hai jo KHwab-e-naz 'rana'
yahi tabir-e-KHwab-e-naz bhi hai