mohabbat ki wo aahaT pa na jae
adaon mein takalluf aa na jae
teri aankhon mein aankhen Dal di hain
karen kya jab tujhe dekha na jae
kahin KHud bhi badalta hai zamana
zabardasti agar badla na jae
mohabbat rah chalte Tokti hai
kisi din zad mein tu bhi aa na jae
wahan tak din ke sathi hazaron
jahan tak hath se duniya na jae
tere josh-e-karam se Dar raha hun
dil-e-dard-ashna itra na jae
kahan tum dard-e-dil le kar chale 'najm'
mizaj-e-dard-e-dil puchha na jae

Ghazal
Mohabbat ki wo aahaT pa na jae
Najm Aafandi