اردو हिंदी
Mizaj humse ziyaada juda na tha us ka | Shaahi Shayari
mizaj humse ziyaada juda na tha us ka

Ghazal

Mizaj humse ziyaada juda na tha us ka

Ahmad Faraz

;

mizaj hum se ziyaada juda na tha us ka
jab apne taur yahi the to kya gila us ka

wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se
use guman bhi nahin main nahin raha us ka

wo barq-rau tha magar wo gaya kahan jaane
ab intizar karenge shikasta-pa us ka

chalo ye sail-e-bala-KHez hi bane apna
safina us ka KHuda us ka naKHuda us ka

ye ahl-e-dard bhi kis ki duhai dete hain
wo chup bhi ho to zamana hai ham-nawa us ka

hamin ne tark-e-talluq mein pahl ki ki 'faraaz'
wo chahta tha magar hausla na tha us ka