mizaj-e-mustaqil dena shuur-e-moatabar dena 
jhuka pae na jis ko waqt ka tufan wo sar dena 
mujhe umr-e-KHizar dena ki umr-e-muKHtasar dena 
mere afkar lekin zinda-e-jawed kar dena 
jo uTThe samt-e-mazi wo nazar mera nahin hasil 
pas-e-diwar-e-mustaqbil jo dekhe wo nazar dena 
mujahid jang ke maidan ko jae jis tarah ghar se 
ye manzar zehn mein rakh kar mujhe izn-e-safar dena 
agar is razm-gah-e-dahr mein jina hi hai mujh ko 
to phir in yurishon mein zinda rahne ka hunar dena 
siwa ho jae jis se azmat-e-dida-wari 'gauhar' 
nazar dena to yarab phir mujhe aisi nazar dena
        Ghazal
Mizaj-e-mustaqil dena shuur-e-moatabar dena
Gauhar Usmani

