mizaj-e-husn mein yarab tu pyar paida kar
nahin to phir mere dil mein qarar paida kar
baDha na dast-e-talab nazr-e-naz dil kar ke
nigah-e-husn mein apna waqar paida kar
badal de koshish-e-paiham se aab-o-gil ka mizaj
KHizan na aae jise wo bahaar paida kar
falak pe chaDh ke nazar aae kuchh jhalak jis ki
wo aarzu dil-e-ummid-war paida kar
ye bebasi to nahin teri shan-e-insani
tu aadmi hai to KHud iKHtiyar paida kar
tere amal se ho sara jahan hairat mein
zamin-e-shor mein bhi lala-zar paida kar
dayar-e-gham ko miTa kar basa jahan-e-KHushi
nai faza nae lail-o-nahaar paida kar
jo chahta hai 'zafar' iltifat-e-dost idhar
to dil mein jazba-e-be-iKHtiyar paida kar

Ghazal
Mizaj-e-husn mein yarab tu pyar paida kar
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali