miTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se
diwar-o-dar mang raha hun main bhi bahte pani se
be-KHabari mein honT diye ki lau ko chumne wale the
wo to achanak phuT paDi thi KHushbu raat ki rani se
wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile
pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se
duniya walon ke mansube meri samajh mein aae nahin
zinda rahna sikh raha hun ab ghar ki virani se
jaise tere darwaze tak dastak dene pahunche the
apne ghar bhi lauT ke aate hum itni aasani se
hum ko sab malum hai 'mohsin' haal pas-e-girdab hai kya
aankh ne sachche gur sikhe hain suraj ki darbani se
Ghazal
MiTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se
Mohsin Asrar