meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai
ye rang ek KHwab ke liye hai ye aag ek shahr ke liye hai
agar isi raat ki siyahi ke sath kho jaenge sitare
to phir ye mere lahu ka raushan charagh kis lahr ke liye hai
tulu-e-imkan-e-arzu par yaqin rakhti hai ek duniya
magar ye be-kar KHwahishon ki numud ek zahr ke liye hai
kanar-e-dariya hai ek maddham ghubar kis dasht ka paDaw
darun-e-sahra ye aab-e-haiwan ka naqsh kis nahr ke liye hai
ye KHwab hote hue sahifon ke phul mere liye hain lekin
zamin-e-dil par ye aayaton ka nuzul ek dahr ke liye hai
bas ek insan ki KHushi hai kisi haqiqat ki ru-numai
magar kisi KHwab ke ziyan ka malal ek shahr ke liye hai
agar hai insan ka muqaddar KHud apni miTTi ka rizq hona
to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai
Ghazal
Meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai
Ghulam Husain Sajid