meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai
wo mere sae ko mujh se juda dikhata hai
bas ek pal mein miTa dengi sar-phiri maujen
gharaunde ret ke sahil pe kyun banata hai
faza mein kamre ki phaili hui hai ek KHushbu
ye kaun aa ke kitaben meri sajata hai
yahi mila hai sila mujh ko haq-parasti ka
ki waqt neze pe sar ko mere uThata hai
main us ke ishq mein aise maqam par hun jahan
usi ka aks har ek aaina dikhata hai

Ghazal
Meri shanaKHt ke har naqsh ko miTata hai
Rasheeduzzafar