اردو हिंदी
Meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho | Shaahi Shayari
meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho

Ghazal

Meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho

Ram Krishn Muztar

;

meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho
tere karam ka agar silsila daraaz na ho

umid chashm-e-taghaful-shiar se kab thi
is iltifat-e-farawan mein koi raaz na ho

hamare haal-e-pareshan pe ek nazar bhi nahin
niyaz-mand se itna tu be-niyaz na ho

kisi ne toD diye barbat-e-hayat ke tar
ab aur kya ho agar aah-e-jaan-gudaz na ho

nazar na aae kahin ye bahaar ka aalam
agar tasawwur-e-ru-e-chaman-taraaz na ho

chala to hai magar ai rahraw-e-rah-e-irfan
haqiqaton ki bhi manzil kahin majaz na ho

jo us ke husn ki parchhaiyan na aaen nazar
to ruh garm-e-tawaf-e-harim-e-naz na ho

hai ek fitna-e-bedar husn-e-KHwabida
sambhal ki ghat mein wo chashm-e-nim-baz na ho

shab-e-firaq na kaTe kaTe kabhi 'muztar'
KHayal-e-dost agar gham mein dil-nawaz na ho