meri nigah kisi zawiye pe Thahre bhi
main dekh sakta hun hadd-e-nazar se aage bhi
ye rasta mere apne nishan se aaya hai
mere hi naqsh-e-kaf-e-pa the mujh se pahle bhi
main us ki aankh ke manzar mein aa to sakta hun
wo kam-nigah mujhe hashiye mein rakkhe bhi
main us ke husn ki thoDi si dhup le aaya
wo aaftab to Dhalne laga tha waise bhi
mere kahe pe mujhe chaak par to rakhta hai
magar ye chaak se kahta nahin ki ghume bhi
abhi to mansab-e-hasti se main haTa hi nahin
badal gae hain mere doston ke lahje bhi
main ek shisha-e-sada hun aur mayassar hun
kisi ki aankh mere aar-par dekhe bhi
Ghazal
Meri nigah kisi zawiye pe Thahre bhi
Tariq Naeem