اردو हिंदी
Meri jaan sarsari milne se kya malum hota hai | Shaahi Shayari
meri jaan sarsari milne se kya malum hota hai

Ghazal

Meri jaan sarsari milne se kya malum hota hai

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

;

meri jaan sarsari milne se kya malum hota hai
parakhne se bashar khoTa khara malum hota hai

tumhaare dil mein aur mera tasawwur ho nahin sakta
tumhaare dil mein koi dusra malum hota hai

tere qadmon se ye virana jannat ho gaya goya
mujhe duniya se apna ghar juda malum hota hai

mujhe tum bewafa kahte ho achchha bewafa hun main
magar ye muddai ka muddaa malum hota hai

tumhaare dil mein jo kuchh aae pinhan rah nahin sakta
tumhaara dil to koi aaina malum hota hai

adl ki shakl se zahir us ka dil shikasta hai
chaman mein aur koi gul khila malum hota hai

faqiron ki sada sun kar mere dhoke mein kahte hain
sikha malum hota hai 'saKHa' malum hota hai