meri gahraiyan pal-bhar mein wo nayab kar dega
mujhe wo bazuon mein lega aur payab kar dega
ajab andaz hai us gul-badan ke pyar karne ka
mujhe patal tak le ja ke mahw-e-KHwab kar dega
wo jab chahe jise chahe ghurur-e-ashnai de
nazar bhar kar jise dekhega wo surKHab kar dega
suna hai gul ki ranai rahegi jun-ki-tun lekin
jo sailab aaega KHushbu ko zer-e-ab kar dega
'shanawar' qatra qatra bahti aankhon ka bhi kuchh socho!
ye aisa rog hai miTTi teri be-ab kar dega

Ghazal
Meri gahraiyan pal-bhar mein wo nayab kar dega
Shanawar Ishaq