meri fughan mein asar hai bhi aur hai bhi nahin
udhar kisi ki nazar hai bhi aur hai bhi nahin
koi milega ye kya hum kahen yaqin ke sath
parae dil ki KHabar hai bhi aur hai bhi nahin
mila tha husn to rahna tha dur dur use
wo rashk-e-shams-o-qamar hai bhi aur hai bhi nahin
ummid-o-bim mein ulfat ne hum ko Dal diya
ilaj-e-dard-e-jigar hai bhi aur hai bhi nahin
karam ke sath sitam tha jafa ke sath wafa
nazar mein un ki nazar hai bhi aur hai bhi nahin
mere KHayal mein aao meri nazar mein phiro
ye ek tarah ka safar hai bhi aur hai bhi nahin
jo puchhta hun to aKHtar-shanas kahte hain
ki sham-e-gham ki sahar hai bhi aur hai bhi nahin
janab-e-'nuh' ye kya bar bar kahte hain
wo josh-e-dida-e-tar hai bhi aur hai bhi nahin
Ghazal
Meri fughan mein asar hai bhi aur hai bhi nahin
Nooh Narvi