meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega
mera muddaa nahin aaega tera tazkira nahin aaega
kai ghaTiyon pe muhit hai meri zindagi ki ye rahguzar
teri wapsi bhi hui agar tujhe rasta nahin aaega
agar aae dasht mein jhel to mujhe ehtiyat se phenkna
ki main barg-e-KHushk hun dosto mujhe tairna nahin aaega
agar aae din teri rah mein teri khoj mein teri chah mein
yunhi qafile jo luTa kiye koi qafila nahin aaega
kahin intiha ki malamaten kahin pattharon se aTi chhaten
tere shahr mein mere baad ab koi sar-phira nahin aaega
koi intizar ka faeda mere yar 'bedil'-e-gham-zada
tujhe chhoD kar jo chala gaya nahin aaega nahin aaega
Ghazal
Meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega
Bedil Haidri