meri be-KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin
ye surur-e-saghar-e-mai nahin ye KHumar-e-KHwab-e-giran nahin
jo zuhur-e-alam-e-zat hai ye faqat hujum-e-sifat hai
hai jahan ka aur wajud kya jo tilism-e-wahm-o-guman nahin
ye hayat aalam-e-KHwab hai na gunah hai na sawab hai
wahi kufr-o-din mein KHarab hai jise ilm-e-raaz-e-jahan nahin
na wo KHum mein baade ka josh hai na wo husn jalwa-farosh hai
na kisi ko raat ka hosh hai wo sahar ki shab ka guman nahin
wo zamin pe jin ka tha dabdaba ki buland arsh pe nam tha
unhen yun falak ne miTa diya ki mazar tak ka nishan nahin
Ghazal
Meri be-KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin
Chakbast Brij Narayan