اردو हिंदी
Meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya | Shaahi Shayari
meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya

Ghazal

Meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya

Zia Faruqi

;

meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya
abhi to ibtida ki hai abhi se so gae ho kya

bhare bazar mein tanhaiyon ko DhunDne walo
mere zauq-e-junun mein tum bhi shamil ho gae ho kya

wo gul jis ke liye ye aasman mausam badalta hai
usi ka bij meri KHak-e-jaan mein bo gae ho kya

koi aawaz kyun dete nahin sanson ke markaz se
ki tum bhi zindagi ke pech-o-KHam mein kho gae ho kya

kabhi jhanka hai tum ne Dubte suraj ki aankhon mein
kabhi tum jhil ke us par bhi yaro gae ho kya

ye be-KHwabi ka aalam aur har aahaT pe chaunk uThna
daricha kyun khula rakhte ho pagal ho gae ho kya

wo jis par KHema-zan the qafile laila-paraston ke
kabhi us raste par bhi batao to gae ho kya

zamane ko kabhi taswir-e-hairat ban ke dekha hai
kabhi be-samt rahon par bhi durweshon gae ho kya

zamane ko kabhi taswir-e-hairat ban ke dekha hai
kabhi be-samt rahon par bhi durweshon gae ho kya

sunaoge kahan tak dastan-e-KHair-o-shar apni
'ziya' is dasht-e-jaan mein ban ke qissa-go gae ho kya