mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai
isi sanad se muqaddar chamakta rahta hai
kisi mazar pe chhai hai KHak muflis ki
kisi mazar ka patthar chamakta rahta hai
ye kaisi rasm-e-halakat bhi pa gai hai riwaj
ye kaise KHun ka manzar chamakta rahta hai
meri nigah ko manzil ki raushni hai aziz
bala se mel ka patthar chamakta rahta hai
jo uTh ke KHak se parwaz ka ujala bana
usi parinde ka shahpar chamakta rahta hai
miTa ke hausle baatil ke aao su-e-haq
qadam baDhao ki rahbar chamakta rahta hai
nujum shams qamar aur jalne lagte hain
suKHan-waron mein jab 'azhar' chamakta rahta hai
Ghazal
Mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai
Azhar Hashmi