mere marne se tum ko fikr ai dildar kaisi hai 
tumhaari dil-lagi ko mahfil-e-aghyar kaisi hai 
hamare ghar se jaana muskura kar phir ye farmana 
tumhein meri qasam dekho meri raftar kaisi hai 
wo mujh se puchhte hain ghair se aur tum se kyun bigDi 
zara hum bhi sunen aapas mein ye takrar kaisi hai 
maaz-allah barq-e-husn kis ki aankhen uThne de 
tamashai nahin waqif ki shakl-e-yar kaisi hai 
'hasan' jam-e-mai-e-gul-rang le kar sochte kya ho 
agar qimat nahin qimat mein ye dastar kaisi hai
        Ghazal
Mere marne se tumko fikr ai dildar kaisi hai
Hasan Barelvi

