mere labon pe aate aate koi baat thak gai
ye kya hua ki chalte chalte kaenat thak gai
main raushni pe zindagi ka nam likh ke aa gaya
use miTa miTa ke ye siyah raat thak gai
main zindagi ke faslon ko napne nikal paDa
qarib-e-manzil-e-safar meri hayat thak gai
baDa kaThin hai dosto KHud apni zat ka safar
kabhi kabhi to yun hua ki apni zat thak gai
rahe junun ke hausle buland se buland-tar
KHud aagahi hazar bar de ke mat thak gai
Ghazal
Mere labon pe aate aate koi baat thak gai
Naseem Ansari